Sunday 16 October 2016

Sirf waqt hi guzaarna tha to kisi aur ko apna lete

Sirf waqt hi guzaarna tha to kisi aur ko apna lete

Tumhe Bataya tha hum pyar Karte hain ibadat ki tarah

Wabasta karen kis se hum apni Umeeden

Wabasta karen kis se hum apni Umeeden

Is door mai Har Shakhs wafa bhool gaya hai

Maine tarap ke kaha bohat yaad aate ho tum

Maine tarap ke kaha bohat yaad aate ho tum

Wo Muskura kar Bole tumhe aur aata hi kya hai

Kis qadar mushkil hai ye zindagi ka safar

Kis qadar mushkil hai ye zindagi ka safar

Khuda ne marna haraam kiya logon ne jeena

Shor na kar dharkan Zara Tham ja kuch pal keliye

Shor na kar dharkan Zara Tham ja kuch pal keliye

Bari mushkil se meri ankhon mai ik khawab aaya hai

Saza deni hum ko bhi aati hai O bekhabar

Saza deni hum ko bhi aati hai O bekhabar

Par Tu Takleef se guzre ye Hame gawara nahi

Kya Likhon zindagi ke bare mai

Kya Likhon zindagi ke bare mai

Wo Log hi Bichar gaye jo zindagi howa Karte thai

Kash aisa Kamaal hojaye

Kash aisa Kamaal hojaye

Wo Mera hum Khayal hojaye

Kash main keh sakoon kabhi tum se

Kash main keh sakoon kabhi tum se
Dil ki har bat ankahi tum se
Kash main keh sakoon kabhi ye bhi
bari mushkil hai dil lagi tum se
Kash ke main keh sakoon ke tum kya ho
Hai mere dil main chandni tum se
Kash main keh sakoon kabhi ke mujhe
Baat karni hai zaroori tum se
Kash ke ye bhi kabhi pooch sakoon
kaise hoti hai berukhi tum se
Kash wo waqt bhi ajaye ke ho
meri duniya main roshni tum se
Kash ye raz keh sakoon main kabhi
Hai hseen meri shairi tum se
Kash lafzon main kabhi keh paoon
Mil ke hoti hai jo khushi tum se
Kash ye umr yoon guzar jaye
meri yadain rahain saji tum se
Kash poch sakon kabhi
Kaise hoti ha be rukhi tum se
Poet -------
Murad Khan

Jab koi apki Narazgi ki

Jab koi apki Narazgi ki
parwah kar na chor de...
Tabh samjh jao ki muhabbat
khatam Aur majboori shuru...!

Friday 14 October 2016

Tu jab jahan bhi moyasar ho 'bas usi pal main

?? ??? ???? ??? ???? ?? ?? ??? ?? ???
????? ??? ?? ????? ?? ???? ???? ?? <3
Tu jab jahan bhi moyasar ho 'bas usi pal main
Zamaney bhar key dukhon se nijaat hoti Hai
Poet------
Murad khan

Mere wajood -----

???? ????
??? ?????????
?? ?????????? ?????????

Mere wajood
Main mojood _____
Ek wajood ____la mehdood ______

Thursday 13 October 2016

Syaahi jaise gir jaye dam e tehreer kaghaz per !!

Syaahi jaise gir jaye dam e tehreer kaghaz per !!
Meri qismat main yon tasveer Hai shab e hijraan no

Ek umer bitani Hai mujhe us key bghair

?? ??? ?????? ?? ???? ??? ?? ????? 😢😢
??? ?? ??? ?? ?? ??? ?? ????? ???? ??????!!😢😢

Ek umer bitani Hai mujhe us key bghair
Aur ek raat Hai k Mujh se guzari nahin jati

Us ne bator e tohfa dia tha libaas e hijar

Us ne bator e tohfa dia tha libaas e hijar
Pehna jo Ek baar to utara nahin main ne
Poet -------
Murad Khan

Aur bhi Ker deta Hai tanha mujhe Jana

Aur bhi Ker deta Hai tanha mujhe Jana
Tere Hote huwe gheron ka dilasa Dena

Wednesday 12 October 2016

Ham baney they tabaah hone ko

Ham baney they tabaah hone ko
Tera milna to Ek banana tha .....

Mot o hayaat aankh macholi ka khail Hai janaan

Mot o hayaat aankh macholi ka khail Hai janaan
Ham ager kho gey to aap se dhondha na jayga
Poet ------
Murad Khan

Hoti Hai laakh ghamon ki dawa neend bhi !!

Hoti Hai laakh ghamon ki dawa neend bhi !!
Hote hain aise gham bhi jo sone nahin detey !!
Poet -------
Murad Khan

Mera gunah yeh hai k main aik mard se muhabat kerti hon !!

???? ???? ?? ?? ?? ??? ??? ??? ?? ???? ???? ????
??? ???? ???? ?? ??? ?? ?????? ?? ???? ?????? ?? ????? ?????
?? ?? ???? ?? ???? ?? ???? ????? ?? ??? ?????
?? ???? ?? ??????? ?? ???? ??? ???? ??????? ???? ???
????? ?? ?????  ?? ?? ???? ??? ????? ?? ???? ???
?? ???? ???? ?? ????? ??? ?? ???? ???? ??
???? ?? ???? ?? ??? ???????? ?? ?? ?? ???
Mera gunah yeh hai k main aik mard se muhabat kerti hon !!
Sirf itni muhabat k usey na dekhon to mujhe benaai ki zrort nahi !!
Us ki aawaz na sunon to mujhe smaat se gharz nahin !!
Woh halka sa muskura de to meri rooh siney se kheench leta hai !!
Aankh key isharey se woh meri nabz rokne pe qadir hai !!
Woh rooth jaye to zindgi mot se badtar lagti hai !!
Itni c muhabat to khuda mujhe muaaf ker dey ga ????
writter -------
Murad khan

Kuch shikwey aise they saahib

Kuch shikwey aise they saahib
Jo khud he kiye aur khud he suney

Jane kyon Ek khyaal sa aaya hai hamain

Jane kyon Ek khyaal sa aaya hai hamain
Ham nahin hon gey to kya kami ho gi
Poet ------
Murad khan

Main thak gya hon ab -----

Main thak gya hon ab -----
Hawa se kaho bhuja de mujhe

Guzrne ko guzer to jaygi magar .....

Guzrne ko guzer to jaygi magar .....
Tumare bad ham ne zindgi jeni nahi

Tuesday 11 October 2016

Humne to Muhabbat Chordi Lekin

Humne to Muhabbat Chordi Lekin

Muhabbat ne hum ko kahin ka nahi Chora

Log Aksar Narm lehjo se Kitni sakht Baat kar Jate

Log Aksar Narm lehjo se Kitni sakht Baat kar Jate hain ke Unke lafzon ki tapish bholne mai ik umer lag jati hai

Etemaad aik chota sa Lafz hai

Etemaad aik chota sa Lafz hai
Jisay Parhne mai second
Sochne mai minute
Samajhne mai din
Magar sabit Karne mai sari zindagi Lagti hai

Jis din samajh Jayenge Ke Samne wala galat nahi

Jis din samajh Jayenge Ke Samne wala galat nahi sirf us ki soch hum se alag hai Us Din zindagi se bohat dukh Khatam hojayenge

Mujh Mai Laakh burayan sahi

Mujh Mai Laakh burayan sahi magar maine kisi se taluq Matlab keliye nahi rakha

Kya aisa nahi ho sakta 2 din tum mere pas Raho

Kya aisa nahi ho sakta
2 din tum mere pas Raho
2 din mai Tumhare pas rahon
4 din ki zindagi hai
Na tum Udas Raho
Na mai Udas rahon

Chura ke muthi mai dil chupaye Bethe hain

Chura ke muthi mai dil chupaye Bethe hain

Bahana ye hai Ke mehndi lagaye Bethe hain

YaaDon mai Basa rakha hai Tujhe is qadar Ke

YaaDon mai Basa rakha hai Tujhe is qadar Ke

Koi waqt bhi poche to tera naam bata Dete hain

Muhabbat karo to adaab e wafa bhi Sekho

Muhabbat karo to adaab e wafa bhi Sekho

Farigh waqt ki beqarari Muhabbat nahi hoti

Pakistan 10 Most Haunted Places

Pakistan 10 Most Haunted Places

Pakistan Ki 10 Pur Israr Jagahen Jinke Bare Mai Jaan Kar Hi Ronghte Khare Hojate Hain
Apne dunya bhar ke pur israr muqamaat ke bare mai sun rakha hoga lekin kya ap jante hain ke aise hi kuch muqamaat pakistan mai bhi hai

No. 1: CHILTAN (QUETTA)

Quetta ke qareb Waqiye is pahari silsile Ko Chiltan Kaha Jata Hai Chiltan Ka Matlab 40 Jism is jaga ke bare mai mash'hoor hai ke yahan in 40 bachon ki roohen bhatakti hain jinke walden ne inhe tanha marne keliye chor diya

No. 2 : MAKLI GRAVEYARD THATTA (SINDH)

Sobha e sindh ke shehar Thatta ke qareeb waqiya ye qabrustan apne andar kaayi dastaane chupaye howe hai ye dunya ka sab se bara qabrustan hai jahan qabren manzilon mai banayi gayi hain 13wen saddi ke is qabrustan mai 1 laakh se zyada qabren hain aur dafan hone wale logon mai elake sardaar naik log aur hukmaraan shamil hain lekin ab yahan kisi ko dafan nahi kiya jata

No. 3: SHEHAR E ROGHAN (BALOCHISTAN)

Balochistan mai waqiya is shehar ke bare mai mash'hoor hai ke yahan Jin ya Bad'roohen majod hain Kayi Shehzaadon ne isay in Jinaat Se Churane Ki koshish Ki lekin tamam nakaam howe lekin phir aik shehzade Saif ul malook ne isay in jinaat ke chungal se churaya lekin ab mash'hoor hai ke ye jin is elake ki pahariyun, gaaron aur nadiyun par hukomat karte hain aur yahan aane wale logon par hamla karte hain

No.4: MOHATTA PALACE (KARACHI)

Ye palace 1927 Mai banaya gaya tha aur kaha jata hai ke yahan bohat ajeeb harkatain dekhne ko milti hain kabhi palace ki roshniyan khud madham aur tez hojati hain aur kabhi ghair maanoos awazen aati hain

No. 5: MOHENJO DARO

2000 Saal purana Ye shehar apne andar kayi raaz samaite howe hai science ki tehqeeq ke mutabiq ye shehar thermal nuclear ke dhamake ki waja se tabah howa aur sciencedaan is baat pe heraan hain ke 2000 saal pehle kis tarah is elake ko atom dhamake ka ilm tha abhi tak is raaz se parda nahi uthaya ja saka

No. 6: KALABAGH

Apne kalabagh dam ke bare mai to bohat kuch parh rakha hoga kya apko maloom hai ke jis jaga dam ye dam banna tha wahan aaj bhi pur israr borhi aurat raaton ko pherti howi dikhayi deti hai jon logon ne burhi aurat ko dekha hai unka ye kehna hai ke ye chote qad aur lambe baalon wali burhi aurat raaton ko pherti nazar aati hai

No.7: KOH SULAIMAN (SULAIMAN MOUNTAIN)

Takh e Sulaimani Ki sab se buland chhoti koh sulaiman aur pashto riwayaat ke mutabiq ye HAZRAT SULAIMAN (AS) se mansoob hai

No.8: CHOKHANDI QABRUSTAN (KARACHI)

Ye qabrustan karachi se 29/KM mashriq mai waqiya hai jismai maazi ke badshah aur malkayen madfon hain is qabrustan ke baare mai mash'hoor hai ke jaise hi soraj gharoob hota hai yahan majood qabren jalne lagti hain aur bohat zyada garm hojati hain kuch logon ka kehna hai ke in qabron mai se cheekh o pukaar bhi sunayi deti hai

No.9: PIR CHATTAL NOORANI GANDHAWA (BALOCHISTAN)

Balochistan ke elake jhal magsi ke qareeb aik Nakhlistan abad hai aur iske pani mai 2 fet lambi machliyan payi jati hain aur agar inhe koi nuqsan pohanchane ki koshish kare to ye usay kaat kar moat ke ghaat utaar deti hain

No.10: SAIF UL MALOOK JHEEL

Kaha jata hai ke sadiyun pehle aik irani shehzada aur pariyun ki rani aik dosre ke ishq mai mubtila hogaye par kuch rohon ke ye pyar aik aankh na bhaya aur unho ne dono ko qatal kardiya aur tab se lekar ab tak har raat pariyan yahan aakar dono ashiqon ko yad karke roti hain

if you like please share








Sunday 9 October 2016

Dhoka Khaane Walon Ko To Waqt Ke Sath Sath

Dhoka Khaane Walon Ko To Waqt Ke Sath Sath Sukoon Mil Jata Hai Par Dhoka Dene Wale Ko Kabhi Sukoon Nahi Milta

Meri Aadat Hai Dard Sehne Ki

Meri Aadat Hai Dard Sehne Ki

Mai Kabhi Badua Nahi Deta

Tere Bina Jeena Mushkil Hai

Tere Bina Jeena Mushkil Hai

Ye Tujhe Batana Aur Bhi Mushkil Hai

Insan Ka Dil Torne Wala Shakhs

Insan Ka Dil Torne Wala Shakhs Kabhi ALLAH Ko Talaash Nahi Kar Sakta

Dil Tor Ke Jane Wale Sun

Dil Tor Ke Jane Wale Sun

Mujhe Tumse Aaj Bhi Muhabbat Hai

Sikh Thori MunafQat Warna

???? ????? ?????? ???? .
??? ????? ?? ??? ??? ?? ..

Sikh Thori  MunafQat Warna...
Log Dewaar Se Laga Den Gaye...