Sunday, 30 November 2014

Kask Phirse Meri Aakhn Khule Hindi Poem by Roshan Singh


Kask phirse meri aakhn khule,
Ek chote se bachche mai, 
Jo dekh raha tha sapne itne din,
Sote hue raton mai,
Kash mera ye bis saal us bachche ka sapna hota,
kash phirse mujhe jine ka ek aur mouka milta,
Kash mera bachpan phir se mujhe milta,
Sudhar lunga mujh se hui har galti ko,
Mana leta mujhse rutha har hasti ko,
Phirse mujhe jina hai,
Phirse bara hona hai,
Isbar man laga ke parhunga,
Khud ko kavi cheat nai karunga,
Khud se kavi galti nai karunga,
Har galti ko sudharta chala jaunga,
Kash phirse meri aakkhn khule,
Ek chote se bachche mai,
Jo dekh raha tha sapne itne din,
Sote hue raton mai,
kash phir se ji sakun mai wo sunahra din,
Ma k god mai khelta rahun har gum k bin,
Wo sunehra din chahta hu jab,
Papa k kandhe pe ghuma karta tha mai,
Wo sunehra din chahta hu jab,
Ma papa ka dulara tha mai...!!!

No comments:

Post a Comment