Saturday, 28 November 2015

Mohsan

Ulja rahi hai mujh ko younhi kashmkash musalsal mohsan 
Wo absaa hai mujh main ya main us main kho gya hun 

Apne honton Pay Sajana CHahta Hun

Apne hontoon pay sajana chahta hun 
Aa tujhy main gunghunana chahta hun 

Koi anso tere daman par ghira kay 
Bond ko moti bnana chahta hun 

Thak gya main yad kartay kartay tujh ko 
Ab tujhay main yad ana chahta hun 

Akhri hichki tere zano pay aye 
Mot bhi main shayarana chahta hun 

Chaa raha hai sari basti main andhera 
Roshni ko ghar jalana chahta hun 

Chalo Ek Bar Phr Se Ajnabi Ban Jayein

Chalo ek bar phr se ajnabi ban jayein hum donoon 
Na main tum se koi umeed rakhon dilnowazi ki 

Na tum meri tarf dekho ghalt andaz nazron se 
Na mere dil ki darkan larkhraye meri baton main 

Na zahir ho tumhari kashmakash ka raz nazroon se 
Tumhein bhi koi uljan rokti hai pesh qadmi se 

Mujhy bhi log kehtay hain k ye jalway puraye hain 
Mere humrah bhi roswayan hain mere mazi ki 

Tumharay sath bhi ghuzri hoi ratoon ki saye hain 
Chalo ek bar phr se ajnabi ban jayein hum donoon 

Allama Iqbal

Nasha pila kar ghirana to sab ko ata hai 
Mazah to jab hai keh ghirton ko thap lay saqi

Jo bada kash thay parany wo uthaty jatay hain 
Kahin se aab e bqaye dowam lay saqi

Kati hai raat hanghamah kastri main tari 
Sehar qareeb hai Allah ka naam lay saqi

Ankhon Se Parhi Jati Hai

Ankhon se parhi jati hai haya ki kahani 
Naqab dal kar koi parsa nahin howa

Tumhari Berukhi

Tumhari berukhi par bhi ulta di zindagi hum nay 
Agr tum meharbaan hotay to apna haal kiya hota 

Sochta Hun Ab


Sochta hun ab khud par hi laga doun alzam
Dil manta hi nahin tum bewafa thay